Senior Member
Join Date: Aug 2007
Posts: 103
|
|
09-16-2007, 05:28 PM
|
Itna Tha...
Tera kasoor nahin mera tha
mein tujh ko apna samjha tha...
Dekh ke tere badle tewar
mein to usi din ro betha tha...
Ab mein samjha ab yaad aaya
tu us din kyon chup chaap sa tha...
Tujhko jana hi tha lekin
mile bagair hi kiya jaana tha...
Ab tujhe kya kya yaad dilaoon
ab to woh sub kuch hi dhokha tha...
Wohi hui hai jo honi thi
wohi mila hai jo likha tha...
Dil ko yun hi sa ranj hai warna
tera mera saath hi kya tha...
Kis kis baat ko roaoon
apna kehna hi itna tha...
Ved
|
|
|
|